Top 20 Sher of Allama Iqbal
This is the collection of Top 20 sher of Allama Iqbal. Dr. Allama Muhammad Iqbal was Pakistan’s national poet. He was born on 9 November 1877 in Sialkot city. He was also a politician and philosopher. He tried to awake the Muslims of Sub-Continent via his awakening poetry.
He started the Pakistan movement in British-India. He was the Spiritual Father of Pakistan. His work is extraordinary in Urdu literature. Allama Iqbal is famous in India, Bangladesh, Pakistan, and Iran due to his self-awakening poetry. Truly, he was the thinker of Pakistan.
He gave the message of self-esteem to youngsters through his poetry. His poetry collection is available both in Persian and Urdu languages. He wrote many poetry books. In this post, you shall find Top 20 sher of Allama Iqbal.
This is the collection of top 20 sher of Allama Iqbal.
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
خودی کوکربلند اتنا کہ ہرتقدیرسے پہلے
خدابندے سے خودپوچھے بتاتیری رضاکیاہے
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ
tū merā shauq dekh mirā intizār dekh
ماناکہ تیری دید کے قابل نہیں ہوں میں
تومیراشوق دیکھ ، میرا انتطار دیکھ
achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aql
lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de
اچھاہے دل کے ساتھ رہے پاسبان عقل
لیکن کبھی کبھی اسے تنہابھی چھوڑدے
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
توشاہیں ہے پروازہے کام تیرا
تیرے سامنے آسماں اوربھی ہیں
apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagī
tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
اپنے من میں ڈوب کرپاجاسراغ زندگی
تواگرمیرانہیں بنتا، نہ بن ، اپنا توبن
tire ishq kī intihā chāhtā huuñ
mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
تیرے عشق کی انتہاچاہتاہوں
میری سادگی دیکھ کیاچاہتاہوں
nasha pilā ke girānā to sab ko aatā hai
mazā to tab hai ki girtoñ ko thaam le saaqī
نشہ پلاکے گرانا تو سب کوآتا ہے
مزہ توتب ہے کہ گرتوں کوتھام لے ساقی
hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai
baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā
dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai
par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai
دل سے جو بات نکلتی ہے اثررکھتی ہے
پرنہیں طاقت پروازمگررکھتی ہے
nahīñ terā nasheman qasr-e-sultānī ke gumbad par
tū shāhīñ hai baserā kar pahāḌoñ kī chaTānoñ meñ
نہیں تیرانشیمن قصرسلطانی کے گنبدپر
توشاہیں ہے بسیراکرپہاڑوں کی چٹانوں میں
jis khet se dahqāñ ko mayassar nahīñ rozī
us khet ke har ḳhosha-e-gandum ko jalā do
جس کھیت سے دہقاں کومیسرنہیں روزی
اُس کھیت کے ہرخوشہ گندم کوجلادو
duniyā kī mahfiloñ se uktā gayā huñ yā rab
kyā lutaf anjuman kā? jab dil he bujh gyā ho
دنیاکی محفلوں سے اُکتاگیاہوں یارب!
کیالطف انجمن کاجب دل ہی بجھ گیاہو
hayā nahīñ hai zamāne kī aañkh meñ baaqī
ḳhudā kare ki javānī tirī rahe be-dāġh
حیانہیں ہے زمانے کی آنکھ میں باقی
خداکرے کہ جوانی تیری رہے بے داغ
ilm meñ bhī surūr hai lekin
ye vo jannat hai jis meñ huur nahīñ
علم میں بھی سرورہے لیکن
یہ وہ جنت ہے جس میں حورنہیں
Husn-e-kirdaar se Noor-e-Mujasam ho ja
k Iblees bhi tujhe dekhy to Musalman Ho jay
حسن کردارسے نورمجسم ہوجا
کہ ابلیس بھی تجھے دیکھے تومسلمان ہوجائے
Apne Kirdaar pay dal k parda
Har shakd keh raha hy zamana kharab hay
اپنے کردارپہ ڈال کے پردہ
ہرشخص کہہ رہاہے زمانہ خراب ہے
Dhondta phirta hoon ma Iqbal apne aap ko
Aap he goa Musafir Aap he Manzil hoon ma
ڈھونڈتاپھرتاہوں میں اقبال اپنے آپ کو
آپ ہی گویامسافرآپ ہی منزل ہوں میں
Aqal ayyar hy, so bhais bna leti hy
Ishq bay chara na Mulla na Zahid na Hakeem!
عقل عیاہے سوبہانے بنالیتی ہے
عشق بے چارہ نہ ملانہ زاہدنہ حکیم
Yun to Sayyed bhi hoon, Mirza bhi hoon, Afghan bhi hoon
Tum sabi kch ho, btao to Musalmaاn bhi ho?
یوں توسیدبھی ہوں،مرزابھی ہوں،افغان بھی ہوں
تم سبھی کچھ ہو،بتاؤتومسلمان بھی ہو؟
Like our facebook page to stay connected.
How did you like Top 20 Sher of Allama Iqbal? Please tell us in comments section if you want to have posts like these.
Check out more in PakNovelsUrdu: