Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020 Free

Bhoot ki Wapsi Bhoot ki Kahani

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020

This is horror story of Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020 Free in Hinglish. Hinglish is mixture or English and Hindi language. We call it Roman Urdu in Pakistan.

روح کی واپسی

Kehny ko to George mera dost tha lekin ma us k sath kisi taqreeb ma nahi jata tha. Iski wajah thi uska mazahiya hulia ganja terha sur, terhi aankhein, baahir ko niklay howay daant. Chaal bhi esy bay dhangi jesy koi gand zameen par chal rahi ho. Log us say milna julna pasand na karty thy. Isi sabab wo ehsaas e kamtari ma mubtila tha. Uski taleem bhi mamolo thi.

Ek din usny elan kia k Rozi uski dulhan bnay gee or mera muh khula ka khula reh gya. Q k Rozi Geroge kee cousin thi or bht khoobsurat thi. Dosra usay george say dili nafrat thi or hamary samny wo kai baar George kee bay izzati kar chuki thi. George yeh khabar suna kar chala gy. Ma sochta reh gya k Rozi George jesy insaan say shaadi par kesy amada ho gyee.

Kuch dosto ka khayal tha k George nay gap lga kar chala gya hay. Hum kul 9 dost thay or hum ma say saat dosto ko Rozi pehle he thukra chuki thi. Hum sab dosto nay plan bnaya k Rozi or George k taaluqat k baray ma janny k lye un dono kee jasoosi krein gay. Yeh janny k lye k kya waqai Geroge kee shaadi Rozi say ho rahi hay ya nhi. Ya phr george hum sab ko bawqoof bna rha hay.

Yeh kaam karny k lye Raymond or mujhe muntakhib kia gya q k Raymond Rozi ka parosi tha or George meri izzat karta tha. Is k ilawa Rozi b meri izzat krti thi q k usay maloom tha k ma uska talabgaar nhi hoon. Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani

Khuda kee qudrat dekhein k Raymon unhi dino bemaar par gya awr mujhe Sharlok Holmes banny ka asan raasta mil gya. Jean meri biwi, bacho ko lay kar maikay gyee hoi thi or ma ghar ma akela tha. Isi lye ma na Rozi or Geroge kee nigraani shro kardi. Jald he mujhe un dono ko aik saath dekny ka moqa mila.

March kee aik kuhar alood subah thi. Ma George k ghar say qareeb he cafe ma nashty kee gharaz say gya, to Rozi or Geroge road par nazar aye. Unho nay aik taxi ko rukny ka ishara kia awr us may beth kar shumaal kee jaanib rawana ho gay.

Ma nashta chor kar apne motorcycle par swar hoa or usay start kar k us taxi k peechy lg gay. Taxi bari sadak chor kar qabristan wali choti sadak par aa gyee. Ma na kuch faslay par unka peecha jaari rakha. Saint Avenues k qabristan k darwazy par taxi ruki or George or Rozi utar kar under chalay gay.

Ma na apni motorcycle sadak k kinary aik tea stall k pass chora or dorta hoa qabristan ma dakhil hogya. Itny baray qabristan ma unhy talaash karna or wo bhi is tarah k unhy meri khabar na ho skay, bht mushkil kaam tha. Lekin ma na jasoosi kahanion suraagh risaani kee filmo say bharpoor faida uthaya or bil akhir darakhto k aik jhund ma unhy dhodnd nikala.

To read more stories like Bhoot Ki Wapsi Bhoot Ki Kahani click here.

Bhoot Returns Bhoot Ki Wapsi Bhoot Ki Kahani

Qabar k pass khari hoi Rozi bht khoobsurat lag rahi thi. George or Rozi apas ma baat kar rhay thy. Ma esi jaga chupa jaha say unki awazein sun skoon. Razi keh rahi thi, “Ma chahti hoon mera anay wala shohar mery hukam par apni jaan tak qurbaan kar day.”

“Tum jab chaho mujhe aazma sakti ho.” Geogr nay aqeedat mandana lehjay ma kaha. “Mujhe tum par etmaad hay. Tum nay mery kehny par apna hath jalty howay angaro par rakh dia tha, lekin ma ziada sakht imtihaan lena chahti hoon. Wo aik waqti jazba tha, ho sakta hy tumhy meri wajah say kuch dair tk aazmaish ma mubtila rehna paray, to himmat haar betho.”

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020 Free
Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani

“Ab mujhe kya karna hoga?” George jesy mukamal tor par Rozi k qabzay ma tha. “Mujhe qabristano say khauf ata hay. Log kehty hein raat k waqt qabristano ma awara rohein ati hein. Ma un roho ki haqeeqat malom karna chahti hoon, lekin mujh ma itni himmat nahi hay k raat k waqt yaha reh sakoon. – Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani.

Meri jagah tum aaj raat qabristan ma basar karo or dekho raat ma kisi waqt bhi yaha aon gee awr agr tum mojod na howay, to zindagi bhar tum say baat nhi karoon gee. Bus isi lye tumhy yaha lai thi.”

“Aik raat to kya ma umar bhar qabristan ma rehny ko tayar hoon.”

“Thiek hay, qabar kee sil utha kar taboot par lait jai, kal subah ma tumhy leny aon gee. Biscuit ka yeh dibba or chay ka thermos apne pass rakhlo.”

Yeh keh kar Rozi uth khari hoi or dono cheezain George k pass rakh dee. George nay parastish k andaaz ma uski taraf dekha or phr wazni sill aik traf khiska dee or taboot par lait gya. Rozi nay kuch khushk jhaarian us k oper rakh dee taa q qabrista ma anay walay kisi shaks kee nazar us par naa paray.

Wo chotay chotay qadam uthati qabrista k darwaazy kee tarad chal dee. Ma kuch dair khamosh khara raha or jab wo nazro say ojhal hogyee to agay barh kar jharian aik traf phenk dee or hansty howay kaha, “Bisween sadi k majnu saahib, zara bahir tashreef laiyay.”

Meri awaz sun kar George k paseeny choot gay. Wo utha or mery qadmo ma gir kar bola, “Khuda k lye mery hal par rehum karo or mujhe tanha chor do. Agr tum nay kisi k samny mery baray ma aik lafz bhi muh say nikala to ma qasam khaata hoon ma forun khudkushi karloon ga.”

To read more stories like Bhoot Ki Wapsi Bhoot Ki Kahani click here.

Usny yeh baat kuch aisy lehjay ma kahi k mujhe rehum aa gya. “Ma kisi say nhi kaho ga, magar tum baahir niklo.” George baahir aa gya, hum dono zameen par beth dgay. Wo kuch dair meri taraf dekhta raha, phr aankho ma aanso bhar kar bola,

“Ma jaanta hoon tum mujhe bawqoof samjhty ho, tumhara khayal hay k mujh par ishq ka bhoot swar hay, hala k yeh dono baatein ghalat hein. Rozi k baap nay uski maa ko ghar say nikal dia tha, maa beti ab tak mulazmat kar k apna pait paalti hein. Rozi nay bachpan he say itne ghum uthay hein k usay mardo kee zaat par etmaad nhi raha.

Hony walay shohar ko apne qadmo par jhukany say uski ana ko taskeen milti hay. Wo meri cousin hay or ma chahta hoon uska mard kee zaat par etmaad bahal ho jay. Jaha tk mera taluq hay tum jaanty ho shakal o surat say meri hasiat muashray ma oonchi nhi hay.

Ma or Rozi aik he kashti ma sawar hein. Usay etmaad chahiye or mujhe koi aisa waseela jis k zariye mera etmadd apni zaat par bahal ho skay or ehsaas e kamtati door ho jay. Rozi meri aakhri umeed hay, wo mery lye mehbooba nhi, zindagi kee alamat hay.

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani – Agr us k sth meri shaadi ho jay to tum sab logo par mujhe aik tarah say foqiat hasil hogi or yeh foqiat mujhe apne ap ko sanbhalny ma madad day gee. Ma na kabhi tumhara bura nhi chaha or ab ma tum say darkhwast kart hoon, mery baray ma apni zubaan band rakho.”

“Tum kehty ho to ma apni zubaan band rakho ga, lekin dost, mujhe yaqeen hay Rozi ka zehni tawazun darust nhi. Kya waqai usny tumhy jaltay howay angaaro par hath rakhny ka hukam dia tha?”

“Haan, magar ma tumhy iski wajah bta chuka hoon. Is k ilawa ma uski khwahish par chalti gaari say chalang lga chuka hoon or baray pull par say darya ma kood chuka hoon. Aik baar usny mujhe rassay ya pipe kee madad k baghair teesri manzil say zameen par anay ka hukam bhi dia tha or ma nay us k humak kee tameel ma apna aik ghutna zakhmi karlia…

Tumhy yaad hoga ma nay tum logo k samny jhoot bola tha k Golf khelty howay choot lagi hay. Pichly hafty ko Rozi k hath aik kitaab lagi jis may yoga kee warzishein likhi thi. Usny wo wo exercises mujhse karwayen or aik exercise ma to ma sur k bul nisf ghanty tk dewaar k sth khara raha. Rozi na waada kia hy wo jald he shaadi k lye apni maa say baat karay gee. Shayad yeh aakhri imtihaan ho, q k iski month ki 20 tareekh ko Rozi kee birthday hay or wo chahti hay is moqa par hamari shaadi ho jay.”

Meri samajh ma kuch nhi aa rha tha. George kee tareef karoon ya iski bawqoofi par qahqahay lagaon, usny meri itni khushamad kee k mujhe apne bacho kee qasam kha kar waada karna para ma kisi say is waqay kaa zikar na karoon ga. Uski khawahish par ma na dobara usay qabar ma lita dia or us k oper khushk jhaarian bakhair dee.

Teesry roz wo club ma aya to Rozi us k sath thi. Usi shaam unki mangni ho gyee. Shaadi k lye 20 tareekh muqara kee gyee thi. Is doraan ma hasb-e-waada ma na kisi say George k baray ma zikar na kia. Wo mujhse bht khush tha. Aik baar to wo Rozi ko sth lay kar mera shukar ada karny ghar par bhi aya.

Find more Urdu Horror stories and Bhoot Ki Wapsi Bhoot Ki Kahani here.

16 March kee shaam ko usny mujhe phone kia k ma railway station par puhanch jaon, wo mujhse aik zarori baat karna chahta hay, ma na haami bhar lee. Wo or Rozi platform par mery muntazir thy. Rozi ka chehra utra hoa tha.

George bola, “Mery ustaad or dada jaan k nahayat qareebi dost mr. Brobin Ridge ka taar aya hay, wo sakht bemaar hein or mujhe har surat Sagna Wali jana chahiye. Rozi pareshan hay, uska khayal hy ma 20 tareekh ki subah 11 bje tk wapis naa aa sko ga or is trah shaadi ka program multavi ho jay ga, tum usay tasali do.”

“Rozi thk kehti hay,”Ma na forun kaha. “Ho sakta hy Mr. Brobin Ridge kee tabiat ziada kharab ho or tumhy waha rukna paray.”

“Yeh kesy ho sakta hay, ma har qeemat par shaadi k waqt say pehle puhanch jaon ga. Idhar kee dunia udhar ho jay, tab bhi waha na ruko ga.” Usny apne alfaaz par zor day kar kaha. Ma na Rozi ko tasali dee, magar wo askhri waqt tak yehi kehti rahi, “George, tum na jao, na janay q mera dil keh rha hay hamari shaadi multawi ho jay gee q k tum waqt par na puhanch sko gay.”

George hans dia or mujhe uska khayal rakhny kee naseehat kar k gaari ma sawar ho gya. Ma na Rozi ko motorcycle k peechy bithaya or usay ghar chor dia.

20 tareekh kee subah hum sab 9 bje he girja ghar puhanch gay. 9:30 tk Rozi bhi dulhan k libaas ma apni maa or chand dosry rishty daaro k sth aan puhanchi. Kai baar hum nay George k ghr malom kia, magar pta chala wo abhi tk Sanga Wali say nhi lota.

Rozi nay mujhe btaya raat uska taar mosol hoa tha, wo subah 7 bje wali gaari say puhanch raha hy. 9:30 tk us k na puhanchy ka matlab yeh tha k ab wo 10:00 bje wali gaari ma aye ga. 9:45 par ma motorcycle par forun station rawana hoa taa k usay sawari leny ma dair na ho jay. Gaari 3 mint late thi. 10:03 say 10:10 tk gaari station par rahi. Ma na aik aik dibba chaan mara lekin George kahi dikhai na dia. Mayoos ho kar ma station say nila or girja ghar kee taraf rawana hoa.

Darwaazy par mujhe Raymond mil gya. Ma na usay dekhty he buland awaz say kaha, “George nahi aya.”

“George to khair puhanch gya hay, albata uski halat qabil-e-rehum hay, shayad traffic k haadsay ma shadeed zakhmi hoa hay.” Raymond nay jawab dia. Hum dono under puhanchy. Shaadi kee rasomaat ada ho rahi thi, lekin haazreen k chehro par khaud k asaar thy.

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020 Free
Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani – George waqai Rozi k pehlo ma mojod tha, lekin Uff Khuda! uska rang peela tha, kapray khoon say tarr thy, aik baazu toot gya tha or kandhay par kaari zakham aya tha. Wo baar baar apni gardan seedhi krny kee koshish kar rha tha jesy gardan toot gyee ho. Raymond nay mujhe btaya 10:10 par wo dorta hoa girja ghar ma daakil hoa or jab logo nay us say pochna chaha tum nay apni yeh kya halat bna rakhi hy, to usny ungli labo par rakhty howay unhy khamosh rehny ka ishara kia or paadri kee traf dekha jesy keh raha ho, “Aap shaadi kee rasoomat shro krein.”

Rozi nay uski yeh halat dekhi to bayhosh ho kar girny lagi. Geroge nay usay sahara dia.

Haazrin dum bakhud thy. Na jany George kee aankho ma kya jaadu tha koi shakhs zubaan say kuch na keh saka. Khauf kee aik sard lehar nay sab ka ehata karlia tha. Yaha tak k paadri bhi khamoshi say apne faraiz injaam day rha tha. Dulha or dulhan baahir nilay to kisi nay un par phool nahi baray.

Pholo k haar logo k hath ma reh gay. Dono gaari ma beth gay or gaari ghar kee traf chal dee. Hum chand aik esy dost yeh janny k lye k George ko kya hadisa pesh aya, gaari k peechy chal dye. Raymond ka khayal tha George gaari say utra or raasty ma usay traffic ka hadsa pesh aa gya. Lekin ma yeh tasleem karny ko tayar na tha k meri nazar nay dhoka khaya hay ma na gaari ka aik aik dibba talaash kia tha.

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020 Free
Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani

Jab hum George k ghar puhanchy, to sadak par aik kuhraam macha hoa tha. George k ghr k baazu ma Rozi or uski maa rehty thy. Rozi kee maa apne baal noch rahi thi.

Malom hoa gaari ghar k samny puhanchi or driver nay utar kar darwaza khola to under Rozi kee laash pari thi or George ghayab tha. Rishty daaro ka khayal tha George nay raasty ma Rozi ka gala ghont dia hay, lekim ma jaanta tha wo esi harkat nhi kar sakta. Hum nay aisy usay saray shehar ma talaash kia magar kamyabi na hoi. Police walo nay Rozi kee laash post maartum k lye bhej dee.

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani – Dopehar k waqt post maartum k nataij aa gay. Doctor nay bayan dia tha laash par kisi zarab ka nishaan nhi or naa gala ghont kar mara gya hay, moat harkat-e-qalab band hony say or achanak waqiya hoi hay. Police ka khayal tha George ko zakhmi dekh kar Rozi darr gyee or isi halat ma uski dill kee dharkan band ho gyee. George nay usay murdaa dekha to is khauf say k police qatal k jurm ma giraftaar na karlay, chalti hoi gaari say baahir kood gya.

Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani in Hindi Urdu 2020 Free
Bhoot Ki Wapsi Bhoot ki Kahani

Lekin 3:00 bje hamary saray khadshaat door ho gay or aik esy haqeeqat saamny ai jis nay herat k sabab hamein pagal kardia. Sanga Wali say police nay itla dee thi aaj yaani 20 tareekh kee subah 5:00 bje sanga wali k station k qareeb Geroge naami aik nojawaan tezi say rail gaari ma sawar hony k lye platform kee traf dora, to aik taiz raftaar car nay usay kuchal dia. Laash post maartum k baad 3 bje kee gaari say bheji jaa rahi hay.

George subah 5:00 bje mara tha, aik bje tak post maartum hoa, 10:00 bje usny shaadi thi or phr raasty ma he ghayab hogya. Yeh aik esa raaz hay jis par say parda uthana kum az kum mery lye mumkin nahi. THE END…

Follow us on facebook. For more stories explore our categories. For upcoming bhoot waali kahani, bhoot ki kahani chudail, kabristan ka bhoot story, bhoot ki kahani story, ek bhoot ki kahani, bhoot ki kahani kahani, story bhoot ki story, jadui bhoot ki kahani and bhoot ki kahani keep visiting our website.

Leave a Comment